CLASH: Alles über Liebe auf Hindi und Urdu

Zusammenfassung

Bangwing IN präsentiert einen CLASH-Thread mit dem Titel Everything Around Love mit Versen auf Hindi/Urdu über verwundete Herzen, brennende Liebe, Träume, Tränen und Sehnsucht. Die Ankündigung teilt evokative Zeilen über verlorene Liebe, Briefe und Musik als Trost und lädt die Community ein, die emotionale Poesie zu lesen, zu kommentieren und zu diskutieren.

olivelizard-57 OP

Khush the kal, aaj ghaayal hain
Jala di duniya ishq mein, koi nahi sambhale
Kaash hum bhi aashiq hote saath mein
Kehte "Nahi zarurat hai humein is duniya ki"

Sapne the, dil dhoondta tha koi apna
Jo poonchhe aansoon, saath ho jaise saya
Ab jeete hain khayalon mein akele
Khamoshi mein dil ke kisi kone mein

Dil de diya bina naam ke
Ab kalank laga, bulate hain isi ilzaam se
Duniya nahi jalti ab bina dil ke
Chingari ishq ki jo bujhti nahi aasaan se

Kisi ne chura liya dil unka
Gaane aur alfaaz hain ishq ke raaste
Sirf aashiq jaante hain yeh sholein
Sard dilon se nahi jalta yeh khel koi

Aaj jala raha hoon khat tumhare
Khaab buna raha ehsaason ke sahare
Behta hai aansoon is beqarar dil ka
Duniya padhti hai pyar ko gaano aur gham ke sahare

14 views

Das Neueste von Bangwing IN