Aur main chalta gaya…
Na daaya dekha, na baaya…
Bas chalta gaya.
Aaj pehli dafa samajh aaya,
Kuch jagah hum chhodte nahi…
Woh humein dheere dheere chhod deti hain.
Aakhri paper tha.
Bahar shayad sab hass rahe honge,
Ek dusre ke saath ruk gaye honge thodi der aur…
Koi canteen ki baat kar raha hoga,
Koi bol raha hoga “bhai milte rehna.”
Aur main?
Main toh bheed mein hoke bhi
Kab ka nikal chuka tha.
Do-teen call aaye the…
Mujhe maloom tha kis liye.
“Bhai kaha hai?”
“Ek baar mil toh…”
Magar ajeeb sa darr tha.
Agar ruk gaya…
Toh shayad ja nahi paata.
Isliye bas ek aakhri baar
Un raaston ko dekha…
Jahan roz doston ke saath chala karta tha.
Na peeche mudha,
Na kisi ko awaaz di.
Bas dil mein ek baat liye nikal gaya—